4th March, 2023, 8:18 PM
Shabe Barat Wo Muqaddas Rat Hai Jis Muqaddas Rat Me ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Apne Gunahgar Bando Ko (Kuch Sakht Gunahgar Chhod Kar) Muaf Farmata Hai. Isi Muqaddas Ratme Humare Nam-E-Aamal Khudawande Quddus Ki Bargah Me Pesh Kiye Jate Hai. Ye Wahi Rat Hai Jis Rat Me, ALLAH Apne Rehmat Ke Farishto Ko Apne Bando Ke Gharon Me Bhejta Hai. Isi Rat Agle Sal Bhar Me Faut Honewalo Ki Fehrisht Bana Di Jati Hai. Ye Wo Muqaddas Rat Hai Ke Jisme ALLAH Subhan Wa Ta'ala Apni Shaan Ke Mutqbiq Pehle Aasman Par Jalwaafzroz Hota Hai. Aur Pukarta Hai Ke, Hai Koi Muafi Mangnewala?, Hai Koi Magfirat Talab Karnewala?, Hai Koi Rozi Ka Talabgar? Yahan Tak Ki Subah Sadiq Tak Ye Sisila Zaari Rehta Hai.
Shabe Barat Ek Sunahra Mauka Hai Hum Gunahgar Bando Ke Liye Ke Apne Rab Ta'ala Ko Raazi Kare. Aaj Humari Ummat Jis Daur Se Guzar Rahi Hai, Har Ek Qadam Par Gumrah Karnewale Aapko Dikhai Denge. Aise Log Mausam Ki Tarah Ho Chuke Hai Jo Har Maah Me Alag Alag Mauko Par Aitrazat Karke Logon ko Gumrah Kar Rahe Hote Hai Lihaza Is Poorfitan Daur Me Aapko ILM-E-Deen Ka Hona Zaroori Hai Warna Koi Bhi Aapko Aa Kar Aapko Apni Baton Me Ulza Kar Gumrah Kar Sakta Hai. Aaj Hum Apne Bachcho Ko Duniyawi Padhai Ki Taraf Khoob Dhyan Dete Hai. Par ILM-E-Deen Ki Taraf Hamara Tawajjoh Nahi Hai. Lihaza Isme Tabdili Ki Zaroorat Hai Apne Bachcho Ko Deen Aur Duniya Dono Ki Talimat De Taki Unki Duniya Aur Aakhirat Dono Sawar Jaye.
Aaj Kuchh Baatil Jama'ate Jaise Ke
Deobandi Wahabi Najdi Tabligi Jama'at Awaam Ko Gumrah Karne Ka Kam Kar Rahi Hai. Wo Aise Hi Logo Ki Talash Me Rehte Hai Jinko Ilm Ki Kami Ho. Unhe Apni Baton Me Behla Kar Namaz Aur Quran Sikhane Ka Lalach De Kar Unhe Gumrah Kar Dete Hai. Aap Dekhe Inki Asliyat Yahi Hai Kyunki Na To Ye, Na Inke Jamat Ke So Called Aalim Mufti Hamare Sunnhi Ulma-E-Kiram Se Aaj Tak Ek Bhi Munazra Nahi Jite Hai. Aur Kai Martaba Munazre Se Bhag Jate Hai. Aapke Samne In Baton Ko Rakhne Ki Wajah Yahi Hai Ke Aap Khud Tahqiq Kare Yuhi kisike Kehne Par Kisi Amal Ko Na Chhode. Ye Post Me Aage Shabe Barat Ki Ahmiyat Wa Fazilat Ko Bayan Kiya Gaya Hai. Ise Khoob Aam Kare. Aapke Wajahse Jitne Logon Ki Islah Hogi Aapko Bhi Barabar Sawab Milega In sha ALLAH.
Maahe Shabaan Ki Fazilate:
"Huzoori Ne Farmaya Shaban Mera
Mahina Hai Aur Ramzan Allah Ka Mahina Hai"
(Imam Suyuti Jame Us Sageer, Vol: Pg 301, Hadees: 4889)
Hazrat Sayyidna Usama Bin Zaid Radiallahuanhu Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool ALLAH Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Mahine Me Nahi Rakhte ?
Farmaya Rajab Aur Ramzan Ke Darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay Aamal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal Me Uthaya Jaaye Ki Mai Rozadaar Hoon"
(Sunan Nasai Pg: 267, Kitab us Saum, Baab 70: Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan, Hadees: 2358)
Hazrat Abdullah Ibn Abi Qays Radi Allahu Anho Se Marvi Hai Kay Unhone Ummul Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Suna Huzoor Nabi E Karim Ka Pasandida Mahina Shaban ul Mu'azzam Tha Ki Isme Roza Rakha Karte Phir Usse Ramzan ul Mubarak Se Mila Dete"
Ka Bayan, Hadees : 2352)
(Sunan Nasai, Vol: 03, Pg: 267, Kitabul Sawm, Baab: Huzoor Kay Roze (Sunan Abu Dawood, Vol: 03, Pg: 163, Kitabus Sawm, Baab: Shabaan Me Roza Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2425)
"Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati Hai Rasool Allah Shabaan Se Zyada Kisi Mahine Me Roza Naa Rakha Karte Balki Pura Shabaan Hi Roza Rakh Liya Karte The Aur Farmaya Karte Apni Istitaat Kay Mutabik Amal Karo Ki Allah Us Wakt Apna Fazl Nahi Rokta Jab Tak Tum Uqta Naa Jao"
We appreciate you contacting us. Our support will get back in touch with you soon!
Have a great day!
Please note that your query will be processed only if we find it relevant. Rest all requests will be ignored. If you need help with the website, please login to your dashboard and connect to support