31st March, 2023, 4:54 AM
Waise tou Ramzan ki fazilatey beshumar hai lekin tamam fazilatey iss Mukhtasar se Unwan me ginwana humare liye mushkil hai, lihaja chand aham fazilato ka hi zikr karne wale hai.
Tou sabse pehli ahmiyat iss Mahine Ramzan ki ye hai ke Allah Rabbul Izzat ne iss Mahine ko apni farz ibadat yaani “Roze” ke liye intekhab kiya. bus yahi samjhne ke liye kaafi hai ke iski fazilat kya hai ?
۞ Hadees: Hazrate Abdullah bin Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool’Allah ﷺ ne farmaya “Islaam ke sutoon paanch (5) hai.”
(1). Pehla Ye ke Allah hi ki Ibadat ki jaye aur uske siwa tamaam jhoote khudao ka inkaar kiya jaye,
(2). Namaaz parhna,
(3). Zakaat dena,
(4). Baitullah ka Hajj karna, aur
(5). Ramzan ke Roze rakhna.
– Sahih Muslim Sharif
Tou Islam me asal 5 Faraiz ibadat hai jisme se “Roza” bhi ek farz ibadat hai aur isi ibadat (Roze) ke liye Allah Rabbul Izzat ne iss mahine (Ramzan) ka intekhab kiya yehi ek badi aham Fazilat hai.
Tou hume chahiye ke iss farz ibadat ko Khushu aur Khuju ke sath takmeel tak pohchaye taa’ki ye jeddo jehad humare liye bayase maghfirat ho.
♥ In sha Allah ul Azeez! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufiq dey!
We appreciate you contacting us. Our support will get back in touch with you soon!
Have a great day!
Please note that your query will be processed only if we find it relevant. Rest all requests will be ignored. If you need help with the website, please login to your dashboard and connect to support